Dhoop Se Jhulsi Hui Jild

Dhoop Se Jhulsi Hui Jild

dhoop se jhulsi hui jild
skin care tips

 Sakht dhoop skin par direct asar andaz hokar bohat se masail paida karti ha. Sakht dhoop asal rangat ko zaail karne ka bai's banti ha. Is ki shiddat se jild jhulas jati ha. Jild ke masamat majrooh hote hein. Sooraj ki shuaen barahe rast parne se jild par chuban se mehsoos hoti ha. Jild ki nihayat bareek regein sooraj ki garmi or tapish ki waja se toot phoot jati hein jis se jild bejan or beronaq ho jati ha.

Dhoop Se Jhulsi Hui Jild Ke Liye Ahtiyati Tadabeer:

Bohat sakht garmi or sardi dono hi insani jild ke liye muzir hein lehaza motadil temperature mein ziyada se ziyada rehne ki koshish kijiye.
Tez dhoop or sakht garmi mein bahar nikalne se gurez karein. Zarooratan dhoop mein jana par bhi jaye to koi mota kapra sar par is tarah rakhye ke chehra sooraj ki shuaon ke barahe rast asar se mehfooz rahe.
Garmio mein bahar jane pehle pani zaroor pijiye.
Angoor ke rus mein cotton bhigo kar chehre par pherye ye amal is waqt tak jari rakhye jab aap ke chehre par thandak ka ahsas hone lage.
Kisi naram or saaf suthre kapre mein baraf ke tukre rakh kar chehre par pherye.
Thanda pani chehre par bar bar dalein yahan tak ke thandak or sukoon ka ahsas ghalib aa jaye.


No comments:

Post a Comment