Beauty Tips For Pink Lips Naturally In Urdu
Honton ki qudrati ranagat bahal karne ke liye gaaye ka kacha doodh honton par lagaye.
Glycerine, arqe gulab or lemon ke few drops baham mila kar raat ko sonay se qabal honton par lagaye.
Honton ki rangat ke liye balai lagana bhi mufeed hai.
Maltay ke chilkay honton par narmi se malne se rangat mein numayan faraq pare ga.
Lemon juice, rose water or pisi hui phitkiri baham mila kar raat ko honton par lagayen. Honto ki siyahi maail rangat door hogi or lips soft ho jayengay. Is ke use se hont bhi patlay hongay.
Honton ko gulabi karne ke liye zafran pees kar lips par ahistagi se malye.
Raat ko sonay se qabal lemon or honey ka mixture honton par lagayen.
Shabnam honton par lagane se honton ki asal rangat bahal rehti hai.
Gulab ki patti pees kar glycerine mein mila kr honton par lagane se hont naram or khoobsurat ho jayengay.
No comments:
Post a Comment