Tamatar (Tomato) Se Banjhpan Ka Ilaj
banjh aurat ke liye amal
Aulad ki nemat se mehroom joray is anmol tohfay ke husool ke liye har tarah ki tago do karte hein or baaz auqat ilaj par lakhon rupay bhi kharch kar detay hein. Lekin 1 haliya research se pata chala ha ki toleedi sehat ki behtari ke liye tomato karishmati asraat rakhte hein or tomato khane se mardo mein sperm ki quantity mein 70% na qabile yaqeen izafa ho sakta ha. Choonkay aulad na hone ka sabab jitna aurat ke masail ho sakte hein itne hi mardo ke masail be auladi ka sabab ban sakte hein or choonkay tomato mardon mein sperm ki tadad or sehat mein khatir khuwah izafa kar sakta hai to ye amoomi toleedi sehat ki behtari ke liye bohat hi achi khabar ha. Tomato ki ye herat angez khusoosiyat is mein mojood 1 maday lycopenelycopene ki waja se hai or isi jadui maday ki waja se tomato ka colour chamakdar surkh hota hai.
No comments:
Post a Comment