Dua e Hajat Or Uska Tarika
Hazrat Abdullah Bin Abi Ofa Razi Allah Tala Anhu se riwayat hai ke Janab Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya: Jis shakhs ko Allah se koi zaroorat pesh aaye ya kisi admi se koi kaam pesh aa jaye to is ko chahiye ki wo wuzu kare or achi tarah Sunnat ke mutabiq tamam adaab ke sath wuzu kare, phir 2 rakatein parhe or phir Allah Ta'la ki hamd o sana bayan kare or phir Nabi Kareem Sallallahu Alayhi Wasallam par Durood Shareef bheje or phir darj bala Dua ke ye kalmat kahe.
No comments:
Post a Comment