Khali Pait Lehsan Khane Ke Herankun Fawaid
Aksar sunne mein aaya hai ke lehsan ka istemal blood pressure ke mareezo ke liye behad mufeed hai. Ye baat yaqeenan durust hai magar is ke ilawa ya bohat se doosray masail ka bhi mufeed hal hai. Khaas kar khali pait lehsan ka istemal 1 khas qisam ki afadiyat rakhta hai. Lehsan 1 khaas qisam ka qudrati Antio Biotic ha jo kai beemario se mehfooz rakhne mein madadgar sabit hota hai. Lehsan ko khali pait khane ke bohat se faide hein. Khali pait lehsan khayen gay to pait mein mojood bacteria khatam ho jayengay jis se aap sehatmand or kai beemario se mehfooz reh sakengay. Lehsan ka istemal se body ke mudafati nizam mein behtari aati hai.
Lehsan khoon ko patla karta hai jis se aap ke khoon ka nizam tez rehta hai or is ke sath sath aap blood pressure control karne mein bhi madadgar sabit hota hai. Agar aap ko skin disease ka masla darpesh ho to khane mein lehsan ki quantity barha dein. Is se aap ke body mein zehrile maday kam hongay or jild taro taza rahe gi. Agar khoon ki veins band hone lagein to daily khali pait lehsan ka istemal karein bohat jald aap ko mehsoos hoga ke aap ki tabiyat bahal ho rahi hai. Lehsan 1 natural Antibiotic hai or sardio mein is ke use se insan khansi, nazla or zukam se mehfooz rehta hai. Agar aesabi kamzori ka masla ho tab bhi lehsan intehai mufeed sabit hota hai.

No comments:
Post a Comment