Shab e Barat Ki Nafil Namazein
Jesa ke aap jante hein Shaban ke mahine mein Shaban ki 15 raat ko shab e barat kehte hein. Is raat mein Allah Ta'la apnay bando par khas karam farmta hai, is raat farishtay pooray aglay 1 saal ka hisab likhte hein kis ko kitna rizq milna hai, kis ki mot waqae honi hai, kis ne is dunya mein aana hai. Hum aapko shaban ki 15 shab ka 1 khas amal batayengay jo ke khud Rasool Allah Peace Be Upon Him ka bataya huwa amal hai jo Aap Peace Be Upon Him ne apnay Sahaba Karaam (R.A) ko taleem kiya or phir Hasan Basri (R.A) ne aagay riwayat kiya. Nazireen shabe barat ki raat ka ye khas amal Namaz hai jo Salatul Khair ke naam se jani jati hai, ye Namaz 2, 2 rakat kar ke parhi jati hai ro total is mein 100 rakatein hoti hein. Shabe barat ki raat Isha ki Namaz ke baad ye 100 rakat ki Namaz 2, 2 rakat kar ke parhi jati hai or har rakat mein Surah Fatiha ke baad 10 martaba Surah Ikhlas parhi jati hai. Is Namaz ke baray mein Hasan Basri (R.A) farmate hein ke mujh se Rasool Allah Peace Be Upon Him ke 30 Sahab Karaam (R.A) ne ye bayan kiya ke shabe barat ki raat ko jo koi ye Namaz parhta hai Allah Ta'la us ki taraf 70 martaba nigah karta hai or har bar uski taraf nigah karne par uski 70 hajatein puri karta hai. Nazireen aap khud hi andaza laga lein ke aap ki kiya kiya hajaat hongi, kisi ko aulad ki hajat to kisi ko achay rozgar ki hajat, kisi ko achay rishtay ki hajat algharz har jaiz hajat is raat ye Namaz parhne se puri hogi. Insha Allah.
No comments:
Post a Comment