Be Khawabi Ka Ilaj
pur sukoon neend lane ki tarkeeb
Musalsal be khwabi ka shikar rehne walay afrad neend ke liye khwab aawar medicines ka use karne lag jate hein jis ke side effects ki waja se wo mazeed complications ka shikar ho jate hein.
Be khawabi ki waja se jism khatarnak beemario mein mubtala hone lagta hai or kamzori bhi paida ho jati hai lekin ab expert ne be khawabi ka shikar afrad ke liye aesa gharelu totka daryaft kar liya hai jis ke use se be khawabi ka shikar afrad na sirf bharpoor or mazedar neend ka lutf le sakte hein balkay is ke use se wo khawab awar medicines ke side effects se bhi nijat hasil kr sakte hein.
Expert ka kehna hai ke aesi mushkil ke liye banana wali tea ka use karein. Is ke koi side effects bhi nahi or is ke use se aap ko pur sukoon neend bhi aane lage gi. Kelon or potasium or magnesium ki wafir quantity mojood hoti ha or in dono dhaton ki waja se hamein pur sukoon neend aane lagti hai. In ki waja se hamaray pat'thay bhi strong hote hein or in mein akrao khichao bhi nahi hota. Kelay ki tea ke liye aap ko available ingredients darj zel hein.
1 cup tea banane ke liye 1 kela, 1 glass pani, 2 gram dar cheeni darkar hogi. Kelay ko kaat kar pani mein dalein or 10 minute tak pani ko boil karein, mashroob ko chaan lein. Ab is par daar cheeni chirak dein or raat ko sonay se 1 hour qabal pehlay kelay wali tea nosh farmayen. Is mashroob ko daily use karne se aap ko raat ko pur sukoon neend aaye gi.
No comments:
Post a Comment