Maal Mein Izafe Ka Amal Mohtaji Se Bachne Ka Amal

Maal Mein Izafe Ka Amal Mohtaji Se Bachne Ka Amal


Nazireen aaj hum aap ko maal mein izafay ke liye 1 behtareen amal btayangay jis ke karne se Insha Allah aap ke maal mein izafa hoga or zindagi bhar kisi ki mohtaji nahi hogi.
Allah Ta'la Surah Baqara ki Ayat # 261 mein irshad farmata hai "Un logo ki misal jo apnay maal Allah ki raah mein kharch karte hein is danay ki se hai jo 7 balen ugata ha or har bali mein 100 danay hote hein. Aur Allah jis ke liye chahta hai kai gunah kar deta hai aur Allah gunjaish wala aur ilm wala hai. (Surah Baqara 261)

Isi tarah Surah Hadeed ki Ayat # 18 mein Allah Ta'la irshad farmata hai "Beshak sadqa dene walay mard or sadqa dene wali aurtein or jinho ne Allah ko acha qarz diya un ke liye dugna ajar ha or behtareen badla hai. (Surah Hadeed 18)

Nazireen aap roz apni hesiyat ke mutabiq sadqa kiya karein kiyounek sadqa balaon ko bhi talta ha or is ke sath sath aap ke maal mein bhi izafa hoga or zindagi bhar kisi ki mohtaji naho hogi.

Nazireen insan jab sadqa karta ha to sadqa us waqt 5 jumlay kehta ha.
1. Mein haqeer tha tu ne mujhe azeem bana liye
2. Mein fani maal tha tu ne mujhe baqa day di.
3. Mein tera dushman tha. Ab tu ne mujhe dost bana liye
4. Pehle mein tere hath mein tha ab mein khuda ke hath mein hoo
5. Aaj se pehle tu meri hifazat karta tha ab mein teri hifazat karoonga.

No comments:

Post a Comment