Nikah Ke Baad Rukhsati Se Pehle Taluqat Qaim Karna
Nikah ke baad biwi apnay shohar ke liye halal ho jati ha. Baad az nikah dono aik doosre ke sath har tarah ke taluqat bahal kar sake hein, chahe rukhsati na bhi hui ho. Albatta is hawale se urf or muashrati akhlaqiat ko malhooz rakhna chahiye. Shadi se pehle, agarcha mangni bhi ho gai ho, mard o aurat kisi qisam ke taluqat rawa nahi rakh sakte or na hi 1 doosre se batein kar sakte hein. Nikah se pehle larka apni mangetar ke liye ghair mehram hi rahe ga or ghair mehram se khalwat o tanhai ikhtiyar karna ya mail jol barhana haram ha. Rasool Allah Peace Be Upon Him ka farma hai "Jo shakhs Allah Ta'la or Youm e Akhrat par Iman rakhta hai wo hargiz kisi aesi ladies ke sath tanhai ikhtiya na kare jis ke sath koi mehram relative na ho, kiyounke aesi soorat mein in dono ka teesra sath shaitan hota hai."
No comments:
Post a Comment