Nojawano Ke Liye Ameer Banne Ka Sab Se Behtareen Tarika
Pakistani nojawan apnay bepanah talent se aaye roz aesay karnamay sar anjam day rahe hein ke dunya jis ke daad diye baghair reh nahi sakti, Lahore mein maroof educational institute King Edward Medical University ke student Uzair bhi 1 aesi misaal hein ke jinhon ne zamana talib ilmi mein hi crore rupay maliyat ki international company establish kar di.
Tafseelat ke mutabiq Uzair ne bataya he MBBS mein admission se pehle in ke paas kuch free time tha jise wo amooman so kar guzarte thay, 1 din un ki walda ne unhen apnay waqt ka musbat use karne ki tanbeeh ki to unhon ne Freelance business ke liye mashoor website Elance par talash shru ki or translation ko kaam apnay ke liye behtareen paya.
Wo kehte hein competition bohat tough tha lekin unhon ne kam muwawza talb kiya or behtareen quality ka kaam shru kar diya. Kuch hi arsa mein inhen bohat ziyada project milne lage unhon ne kabhi bhi quality mein kami na aane di, jab kaam bohat ziyada milne laga to unhon ne dost ahbaab ko shamil kar ke 1 company establish karli jis ke liye kaam karne walay aaj 30 countries mein phele hue hein.
Agarcha wo abhi MBBS ke 4th year mein hein lekin un ki dolat 5 Crore Rupees se bhi tajawuz kar chuki ha. Uzair ka kehna hai ke mehnat, imandari or sabar se har manzil ka husool mumkin ha or Pakistani student ko in khoobio se kaam lete hue Freelancing par bharpoor tawajja deni chahiye.
No comments:
Post a Comment