Daanto Ki Peelahat Door Karne Ka Tarika
daanto ki peelahat door karna
Kiya aap daanto ki peelahat se pareshan hein? kiya aap apnay danto ke peelay pan ki waja se khul kar smile nahi kar pate? Kiya aap is problem ki bina par apnay friends se door hote ja rahe hein?
Jesa ke hum jante hein aaj kal daanto ki peelahat jese problems aam hein. Health expert ki opinion ke mutabiq hamare teeth ki peelahat ke peeche bohat si wajoohat hoti hein. Taham teeth ki peelahat ki ahem wajoohat mein zaroorat se ziyada beverages ka use, sharab noshi, tea, coffee, cigarette noshi aur mouth cleaning ka care na karna shamil ha. Yaad rakhein tooth aesi cheez ha jin ko log aap se meeting ke waqt sab se pehle notice karte hein. Agarche achi health aur confidence bhi zaroori cheezein hein taham daant bhi aap ki personality mein 4 chand lagate hein. world mein shayad hi koi aesa shakhs ho jo white teetch aur achi smile pasand na karta ho. Log aksar auqaat teeth whitening ke liye clinical method use karte hein jo kafi expensive hote hein. Pas agar aap apnay ghar mein apnay danto ka peela pan se nijat chahte hein jo mandarja zel tajaweez par amal kar ke aap daanto ke peela pan khatam kar sakte hein.
Danto ki peelahat khatam karne ke liye pehli tajweez khane ka soda aur lemon juice hein. Is amal ke liye thora sa khanay ka soda lein aur is mein itna lemon juice milayen jis se paste ban jaye baad az is paste ko tooth brush par laga aram se dant brush karein, is paste ko daanto par 1 minute tak laga rehne dien phir mouth wash kar lein.
Doosri important tajweez strawberry aur refined salt ka isemal ha. Strawberries mein vitamin C wafir miqdar mein mojood hota ha jo teeth care ke liye behad mufeed ha. Taham teeth cleaning ke liye 3 bari strawberries lein in mein chutki bhar salt mila kar achi tarah mix kar lein. Ab is paste ki khaasi miqdar danto par laga kar brush karien or 5 minute tak teeth par laga rehne dien. Is paste mein chutki bhar khanay ka soda bhi shamil kiya ja saktaha.
Teesri aur most important tajweez coconut oil ka use ha. Jese ke hum jante hein nariyal ka tel insani health ke liye intahai mufeed ha. Pas is method par amal karne ke liye itna coconut oil lein ke aap moo bhar jaye aur ise mouth wash ki tarah moo ke andar harkat dete rahein aur 10 se 15 minute tak ise moo ke andar rehne dein baad az phenk dein aur daant brush kar lein. Is amal ko 1 din mein 1 martaba repeat karin. In teeno teeth whitening tips mein se kisi 1 par ragular amal karne se aap chand days mein aap ki daanto ki peelahat khatam ho jaye gi ye dant chamkane ka asan tarika ha.
No comments:
Post a Comment