Haldi Ke Fawaid In Urdu

Haldi Ke Fawaid In Urdu

haldi ke fawaid in urdu

Haldi ke beshumar tibbi fawaid hein. American chemical journal ke mutabiq turmeric mein anti oxidant, anti viral, anti bacterial aur anti fungal khusoosiyat pai jati hein.
Doosre amraz ke ilawa zakhmo ko mundamil karne ke liye haldi ka istemal behtar qarar dete hein. Lekin is ka hargiz ye matlab na liya jaye ke haldi ko barahe rast khaya jaye, khano aur deegar ingredients ke sath mila kar hi haldi use karni chahiye.
Modern Research ke mutabiq haldi breast cancer, liver cancer, blood cancer aur galay, lungs aur prostate ke sartan ke ilaj ke liye bohat moassar dawa aur ghiza ha. 
Haldi sugar ke marz jise diabtetes bhi kehte hein bohat faidamand ha. Ye insulin ko normal rakh kar khoon mein glucose level normal rakhne mein helpful hoti ha. Haldi 1 bohat acha anti oxidant aur antiseptic element paya jata ha jo diabetes ke marz ki waja se hone wali bimari ko kam karta ha. Recent research mein ye baat samne aa chuki ha ke turmeric mein curcumin beta cells ki hifazat karta ha. Beta cells choonke insulin paida karte hein.
Lehaza jin logo ko diabetes type 2 hoti ha in ke liye haldi mufeed ghiza sabit hoti ha kai countries mein haldi aur adrak ka qehwa bana kar piya jata ha. Jo anti oxidant aur anti flammatory khusoosiyat paida karta ha. Nazla zukam aur sardi se paida hone walay pain mein bhi ye mufeed tareen qehwa ha. Diabetes ke marz din mein 1 bar ye qehwa bhi pee sakte hein. Ziyada behtar ha ke wo sada ghiza mein haldi use kiya karien.


No comments:

Post a Comment