How To Get Rid Of Diabetes Home Remedies

How To Get Rid Of Diabetes Home Remedies


Diabetes ke aalmi din par ye azam kar lein sehat bakhs ghiza ko apna lein gay takay taweel aur healthy life pa sakein.
Apni ghiza se muzir sehat aur carbohydrates ko in 5 sehat bakhsh ghizaon se badal dein.

1. Almond: Tibbi tehqeeqi reports se sabit huwa ha ke khanay ke baad badam ka istemal karne se jism mein glucose aur insulin level qabool mein rehti ha. Almond aap ke jismani weight loss ke liye madadgar sabit hote hein kiyounke ise khanay ke baad aap ka pait bhara huwa mehoos hoga youn to badam aur badam ke tail ke kai fawaid hein, lekin badam ke fawaid mein se 1 faida ye bhi ha ke ye sugar ke liye bohat mufeed ha.

2. Green Leaves Vegetables: Spinack, Brocoli, gobhi aur salad leaves jesi vegetables mein calories aur carbohydrate kafi kam miqdar mein mojood hote hein. Tibbi science ne sabit kiya ha ke in sabziyon ko daily khane se diabetes hone ka khatra 14% tak kam ho jata ha.

3. Fish: Fish mein body ke liye important Fatty Acids mojood hote hein ke blood sugar level ko mamool par rakhne ke sath jismani soojan ko kam karne aur heart disease ka khatra kam karne ke liye bhi ahem hein. Diabetes patient ko hafte mein 2 times fish ka use zaroor karna chahiye kiyounke ye kidney disease ke khilaf bhi tahaffuz provide karta ha. Wese to fish ke fawaid to bohat lekin machli khanay ke fayde mein se 1 faida ye bhi ha ke ye sugar level ko control mein rakhti ha.

4. Sweet Potato: American Diabetes Association ke mutabiq sweet potato insulin ki muzahimat ko kam karti ha sath sath blood sugar ki level ko mustehkam rakhti ha. Is delicious shakarkandi mein fiber ziyada miqdar mein mojood ha jo heart attack samet dil ki kai bimari se bachane mein madad deta ha. Is ke ilawa shakarkandi ke fawaid mein ye bhi ha k wo log jo mardana kamzori ka shikar hein wo agar shakarkandi istemal karein to un ki weak sperm stron hogi aur mardana taqat mein izafa hoga. Iske ilawa bhi shakarkandi ke beshumar fayde hein.

5. Daliya: Daliya diabetes patient ke liye behtareen nashta ha. Ye stomach mein ghiza mein mojood glucose ko absorb karne ki speed slow kar ke sugar level ko control karta ha. Is ke ilawa bhi daliya ke bohat se fawaid hein, rozana 1 piyala daliya khane se cancer jesi khatarna beemari se bacha ja sakta ha. Expert ka kehna ha ke daliya ka istemal good health ka reason banta ha. Daliya blood pressure ko kam karti ha.


No comments:

Post a Comment