Kapooray Khana Halal Ya Haram In Islam
Pakistan ke beshtar cities mein kapooray aur gurday ki kata kat khanay ka riwaj paya jata ha aur gurday kapooray khanay walo ka manna ha ke is se jinsi queat mein izafa hota ha. Ye baat haqeeqat mein farsooda ha jabke Islam mein kapooray khana haram ha. Jamia Uloom Islamia ke Darul Ifta ne is hawalay se fatwa de rakha ha ke janwaron ke kapooray khana Muslim ke liye haram ha. Is fatwa ki roo se katakat kapooray khana jaiz nahi ha. Sharai Nasoos mein hewan ke jin 7 aeza ke khanay se mana kiya gaya ha in mein kapooray bhi shamil hein jabke fiqha ahnaf ne makrooh e tahrimi likha ha aur usooli lihaz se makrooh e tahrimi kehna hi durust ha. Wazeh rahe ke makrooh e tahrimi wo amal ha jis ka tark karna zaroori ho aur us kaam ko karna lazman mamnoo ho.
No comments:
Post a Comment