Khana Chaba Kar Khane Ke Fayde
Khanay ko aram o ahista chaba kar khana motapay se bachane samet heart attack, paralysis aur deegar amraz se bachane mein madadgar sabit hota ha. Ye baat Japan mein hone wali 1 tibbi research mein samne aai. Hiroshima university ki research mein bataya gaya ke bohat tezi food ko khana blood sugar ko barhane ka bai's banta ha jis se insulin ki resistance paida hoti ha. Insulin ki resistance ke natije mein heart disease, diabetes aur falij jese amraz ka khatra barhta ha. Isi tarah metabolic syndrome ke natije mein tond nikalne, blood sugar level barhne aur harmful cholesterol level bhi barh sakti ha. Tond kam karne ka tarika ye ha ke medicines ke bajaye exercise se tond kam ki jaye kiyounke medicines se side effects ho sakte hein.
Research ke mutabiq khane ko ahista se khana health aur body ko fit rakhne ki kunji ha.
Is research ke doran 1000 ke qareeb afrad ki ghizai adaat ka jaiza liya gaya jin mein se koi bhi metabolic syndrom ka shikar nahi tha.
Nataij se maloom huwa je jo log tezi se khana nigalte hein, in mein jaan lewa amraz ka khatra aram se khane walo ke muqable mein 11.6% tak barh jata ha.
Expert ka kehna tha ke tezi se khana motapa, tond nikalne aur high blood glucose ka bai's banta ha.
Niwalay ko aram se achi tarah chaba kar khana dimagh ko jald pait bharne ahsad dilata ha aur insan ziyada kha nahi pata.
In ke baqol morcel ko aram se chaba kar nigalna sehatmand tarze zindagi ka important juz ha jo metabolic syndrom se protection deta ha.
Is tehqeeq ke nataij American Heart Association ke Scientific session mein pesh kiye gaye.
Weight loss ka asan tarika ye ha ke khana khoob chaba chaba kar khayen. khana chaba kar khane ke fayde ye hein ke aap constipation qabz se bache rahte hein, daant mazboot hote hein aur acidity nahi hoti.

No comments:
Post a Comment