Namaz Se Kamar Dard Back Pain Ka Ilaj
Research ke doran ye baat samne aai ki agar 5 waqt ki Namaz ko adat bana liye jaye aur durust andaz se ada ki jaye gi to ye kamar dard ke masail se nijat dilane mein helpful sabit hoti ha. Research ke mutabiq Namaz ki mukhtalif cheezon ki adaigi ke doran kamar ke zawiyo mein tabdeeli se back pain mein prominent kami aati ha. Namaz ke doran body ki harkaat yoga ya physical therapy se milti julti hein jo ke kamar ke dard ke ilaj ke liye ikhtiyar kiya jata ha. In ka mazeed kehna tha ke mukhtalif tibbi reports ke ye india milta ha ke Namaz aur jismani tor par sehat mand tarze zindagi ko barqarar rakhne mein taluq mojood ha. Inhon ne bataya ke Namaz depression aur bechaini ka khatma karti ha. Research ke doran mukhtali experience se maloom huwa ke doran e Namaz Rukoo aur Sajday ki halat mein kamar ka zawiya aesa hota he jo kamar dard mein kami lane mein madad gar sabit hota ha. Kamar dard mein kami usi waqt mumkin ha jab ise bilkul durust andaz se ada kiya jaye.
No comments:
Post a Comment