Sardiyon Mein Jild Ki Hifazat
khushk jild ke hifazat ke tarike
Skin ko dilkash o haseen banane ke liye chiknai wali ghiza aur bazari khano se parhez karein. Ladies apni skin ki hifazat kar ke ise intahai dilkash bana saktihein. Khaas tor par oily skin wali ladies ko chahiye ke chiknai wali ghizaen, ghair mayari aur bazari khano se parhez karein takay jild saaf aur shaffaf rahe.
Is ke liye ziyada se ziyada pani piyen. Fruits, vegetables khayen aur garmion mein khaas tor par tarbooz zaroor khayen. Ye skin ke liye bohat useful ha. Halki phulki exercise zaroor karein. Is se blood circulation balance rehta ha aur mukhtalif skin disease nahi hote. Har tarah ka mosami phal zaroor khaeyn agar pasand nahi to juice bana kar pee lein.
Yaad rakhein jo faida fruits aur vegetables khane se hasil hota ha aur face dilkash aur haseen lagne lagata ha, uska muqabla bazari creams aur makeup kar hi nahi sakte. Jab tak aap ki skin andar se fresh nhi hogi tab tak makeup bhi kuch nahi kar sakta. 1 baat hamesha yaad rakhein, garmi ho ya sardi dhoop mein nikalne se pehle chehre ke ilawa garda, hands aur legs par sun block bhi zaroor lagayen.
Sun block ko khareedte waqt kam az kam 30 spf wale sun block ko hi tarjeeh dein. Is tarah ye na sirf skin ko sun ki ultraviolet rays se mehfooz rakhte hein balkay base ka kaam bhi dete hein aur aap ki skin makeup me muzir asraat se mehfooz rehti ha. Is tarah aap ki skin saaf aur daagh dhabbo se mehfooz rahegi aur aap ko daily face par base ki teh jamane ki zaroorat nahi rahegi.
No comments:
Post a Comment