Balgham Ka Desi Ilaj In Urdu
Aaj kal nazla, zukam waba ki tarah aam ho raha ha aur in beemarion ke bais sheherion ki bari tadad balgham ke masle se pareshani dikhai deti ha. Khusoosan seene mein jama ho jane wali balgham shadeed pareshani ka sabab banti ha kiyounke is ke waja se saans lene mein mushkil paish aati ha jism mein kamzori paida hone lagti ha aur deegar beemarion ke paida hone ka khadsha mojood rehta ha. Khush qismati se is masle ka 1 asan hal lemon aur honey ki soorat mein available ha.
Website healthyfoodstar ke mutabiq lemon mein paya jane wala Vitamin C quwat mudafiat mein izafa karta ha jabke honey mein anti fungal aur anti bacterial khusoosiyat pai jati hein. In dono ingredients ki khusoosiyat milkar balgham ke khatmay ke liye kargar nuskha ban jati ha.
Ye nuskha tayyar karne ke liye 2 spoon lemon juice aur spoon honey le lein. In dono cheezon ko achi tarah mix karein, bas nuskha tayyar ha. Ise din mein 3 baar use karein. Is ke ilawa balgham ke patient ke liye saib ka sirka aur adrak bhi mufeed ha. In ashya ke use ke sath ye bhi koshish karein ke thanday beverages se perhez kiya jaye, cigarette noshi se door raha jaye, galay mein kharash paida karne wali cheezon maslan pollution aur chemical se bachein aur lehsan ka istemal zaroor karein.
No comments:
Post a Comment