Dant Ke Dard Ka Desi Ilaj

Dant Ke Dard Ka Desi Ilaj

dant ke dard ka desi ilaj
dant ke dard ka gharelu ilaj in urdu
dant ka dard ka fori ilaj


Insani jism ki sakht kuch aesi hai ke jism ka 1 bhi hissa agar takleef mein ho to poora jism takleef mein mehsoos hota ha isi tarah dant mein dard ho jaye to hamein kafi mushkil hotiha aur hum kai tarah ki medicines ka use karne lagete hein.
Lekin agar aap ke dant mein takleef ho to zail mein bataya gaya qudrati nuskha zaroor aazmayen. 2006 mein Journal Of Dentistry mein publish hone wale research mein bataya gaya hai ke ghar par banaya huwa long ka tail ya gel benzocaine 20% ki tarah stron aur side effect se pak ha. Is ke use se dant ki dard theek ho jati ha. Research mein ye bhi bataya gaya ha ke long ka tail anti bacterial khusoosiyat rakhta ha jis ki waja se sozish mein khatir khuwa kami hoti ha, dant ka fungus bhi theek hota ha aur sath hi dard mein khatr khuwa kami hoti ha.
Long ke tail ko use ka tariqa yaad rahe ke long ka tail bohat ziyada tez hota ha jis ki waja se moo ki hassas jild par bohat ziyada chubhan hoti ha is liye zaroori ha ke ise zaitoon ke tail mein mila kar use kiya jaye.
1 spoon clove oil aur is mein 2 spoon olive oil dalein. Ab is solution ko pehle apnay hath ki jild par lagayen aur agar chubhan kam ho to ise phir is dant par cotton ki madad se lagayen jis mein dard ho rahi ho.

No comments:

Post a Comment