Kaddu Ke Fawaid In Urdu
kaddu ke fayde
Hazrat Muhammad Peace Be Upon Him khane mein khajoor aur vegetables mein kaddu ko behad pasand farmaya karte the. Hazrat Ayesha R.A se riwaat ha ki Huzoor Peace Be Upon Him kaddu ke mosam mein kaddu ki tarkari khane mein behad pasand farmate thay. ye tarkari khushki ko door karne wali ha.
4th century ke tibbi researchers jin mein Bu Ali Seena, Moosa Bin Khalid aur Hussain Bin Ishaq ka naam sare fehrist ha in expert ne kaddu benefits ke baray mein kaha ke hum heraan hein ke is vegetables ke itne ziyada fayde hein.
Kaddu ke chilke ko khushk kar ke ise jala kar khakstar kr lein ye khakstar chaqu churi ya talwar ke zakhmo se jari khoon ko rokta ha aur heran kun tor par khoon ke behne ko band kar deta ha. Ye salan bohat si beemarion mein quwat bakhsh sabit hota ha misaal ke tor par aesabi tawanai ka muzahira karne wale ahbab ke liye nadir cheez ha mosam e garma mein aksar bacho ki eyes dukhne par aa jati hein, bukhar char jata ha, chircharahat paida ho jati ha aesi halat se bachne ke lye hifz ma taqaddum ke tor par kaddu ka chilka hasil kar ke bacho ke talu par gadi bana kar rakhein baad mein utha lein chand din ye amal karne se bache garmi mein har qisam ke hangami aur wabai amraz se rehte hein.
Kaddu ki dandi darh ke neeche rakh kar chew karein agar wo qadre mithas liye hue ho to kaddu nihayat lazeez hoga, pheeki hone ki soorat mein kaddu qadre mazedar aur agar karwi ho to kaddu karwa hoga karwa kaddu pait mein hawa bhar jane ki halat mein drops ka zabardst ilaj ha.
No comments:
Post a Comment