Kishmish Ke Fawaid
Kishmish ko to aap ne dekha hi hoga jo ke angoor khushk kar ke banai jati ha aur is ki rangat golden green ya black ho saktiha. Ye mazedar mewa aam use kiya jata ha magar kia aap ko maloom hai ke agar is ka daily istemal kiya jaye to aap kiya faida hasil kar sakte hein.
Amraz se pak zindagi ki kunji qabz se nijat fiber se bharpoor hone ke sath sath kishmish mein tartaric acid bhi shamil hota ha jo halke julab jea asar dikhata ha. 1 research ke mutabiq half ounce kishmish daily istemal karne walay afrad ka nizam hazma dugna tezi se kaam karta ha.
Kishmish mazedar dry fruit ha magar kiya aap ko maloom ha agar is ka daily istemal kiya jate to aap kiya faida hasil kar sakte hein.
Qabz Se Nijat:
Fibre se bharpoor hone ke sath sath kishmish mein tartaric acid bhi shamil hota ha jo halke julab jesa sar dikhata ha. 1 research ke mutabiq half ounce kishmish ka daily use karne walay afrad ka nizame hazma dugna tezi se kaam karta ha.
Khoon Ki Kami Door Kare:
Kishmish iron se bharpoor mewa ha, jo khoon ki kami ko door karne ke liye ahem tareen juz ha, kishkish ko asani se dalya, dahi ya kisi bhi meethi cheez mein shamil kar ke khaya ja sakta ha balke wesay bhi khana bhi moo ka taste behtar karta ha. Taham diabeses ke shikar afrad ko ye mewa ziyada khane se gurez karna chaiye ya Doctor ke mashwaray se hi istemal karein.
Bukhar Se Bhi Tahaffuz De:
Kishmish mein mojood anti oxidants viral aur bacteria se hone walay infection ke result mein bukhar ke aarzay ka ilaj bhi provide karte hein.
Stomach Ki Tezabiyat Khatam Karein:
Kishmish mein potassium aur magnesium hota ha jo ke stomach ki tezabiyat mein kami late hein, stomach mein tezabiyat shiddat barhne se skin disease, joron ke amraz, balon ke girna, amraz e qalb aur cancer tak ka khatra barh jata ha.
Eyes Ke Health Behtar Kare:
Kishmish mein mojood ingredients eyes ko mizar free redicles se hone walay nuqsan se tahaffuz dete hein jabke age barhne ke sath pathon ki kamzori, motya aur beenai ki kamzori se tahaffuz milta ha. Is meway mein mojood beta kerotene Vitamin A aur Kerotene bhi beenai ko behtar banane mein madad dete hein.
Jismani Tawanai Barhaye:
Carbohydrates aur qudrati cheeni ki badolat ye mewa jismani energy ke liye bhi acha zariya ha, kishmish ka use Vitamins protein aur deegar ghizai ingredients ko jism mein moassar tarikay se absorb hone mein madad deta ha. Yehi waja hai ke body builders aur athletes kishmish ka use aam karte hein.
Be Khuwabi Se Nijat Dilaye:
Is deway mein mojood iron be khuwabi ya neend na aane ke aarzay se nijat dilane mein madad deta ha jabke neend ka mayar bhi behtar hota ha.
Boood Pressure:
Iron, potassium B, Vitamins aur anti oxidants blood pressure ko mamool par rakhne mein madad dete hein khas tor par potassium khoon ki sharyano ke tanao ko kam karta ha aur blood pressure ko natural tor pr kam karta ha. Isi tarah qudrati fiber sharyano ki akran ko kam karta ha jis se bhi blood pressure ki satah mein kami aati ha.
Haddio Ke Sehat:
Is mein mojood calcium haddion ki sehat ke liye faida mand ha jo haddion ki mazbooti barqarar rakhne mein madad deta ha.
Kidneys Ki Sehat Ke Liye Behtar:
Potassium se bharpoor hone ki waja se in ka use mamool banana kidneys mein pathri ka khatra kam karta ha.
No comments:
Post a Comment