Pait Ki Charbi Pighlane Ka Asan Tarika
Agar aap motapa kam karne ke liye sirf doray laga rahe hein to zara theheriye aur kuch weight uthane ke baray mein sochiye. Ji janab, America ki Harvard University ke Scientist ka kehna hai ke agar aap waqai motapay mein kami karna chahte hein to is ka behtareen tarika ye hai ke walk ya jogging ke sath weight uthana shru kar dijiye.
Website indy10 ke mutabiq tehqeeq kar Doctor Rania Mekari ne bataya ke" Agar aerobic exercise ke sath wazan uthane ke exercise ko bhi shamil kar liya jaye to pait par jama charbi ba asani kam hoti ha aur aap ke muscle bhi strong hote hein. Ye research 1 saal tak jari rahi jis ke doran 10500 se zaid marodn ke baray mein maloomat ikhatti ki gaye.
Is tehqeeq ke result se zahir huwa ke jo log sirf walk ya jogging karte thay un ki nisbat jogging ke sath weight walon ka ziyada tezi ke sath kam huwa tha. In ka sirf wazan hi kam nahi huwa tha balke body bhi amoomi tor par mazboot ho gaya tha aur khusoosan muscle ziyada strong ho gaye thay. Mazeed ye ke in mein heart disease ka amkan bhi deegar logon ki nisbat wazeh tor par kam ho gaya tha.

No comments:
Post a Comment