Daar Cheeni K Faiday
daar cheeni ke fawaid
Daar cheeni ko log khano ko khushboo dar banane walay juzz ke tor par to jante hein lekin aksar logo ko maloom nahi ke ye jild ko jawan rakhne k liye bhi 1 la jawab nuskha ha. Skin ko fresh aur jawan rakhne ke liye daar cheeni ko kai tarah se istemal kiya ja sakta ha.
Misaal ke tor par agar aap skin wrinkles ko khatam karna chahte hein to is ke liye daar cheeni ko olive oil ke sath mix kar ke use karein. 2 spoon olive oil lekar is mein half spoon daar cheeni ka powder shamil karein aur 7 se 8 minute tak laga rehne dein. Is ke baad chehray aur gardan ka achi tarah massage karein aur phir chehre aur gardan ko kisi saaf aur namdar kapray se achi tarah saaf kar lein.
Isi tarah jild ke dano ke khatmay ke liye daar cheeni ka powder 1 spoon lekar ise 2 se 3 spoon honey ke sath mila kr paste bana lein. Is paste ko jild par taqreeban 10 minute tak laga rehne dein aur phir neem garam pani se dho dalein. Is nuskhe ke istemal se aap jild ke dano se ba asani nijat pa sakte hein.
Agar aap jild ko fresh aur shiny banana chahte hein is ke liye daarchini ke banana ke sath mila kar face mask ke tor par istemal karein. Ye face mask banane ke liye 1 adad banana ko masal lein aur is mein 1 spoon daarchini ka powder shamil kar lein.
Agar aap chahen to is mein 2 se 3 spoon honey bhi shamil kar sakte hein. Is face mask ko chehre par laga kar dry hone dein aur taqreeban 10 minute baad dho dalein. Face wrinkles ke khatmay k liye daarcheeni ke tail aur coconut oil ko barabar miqdar mein mix karein aur is ke sath chaiyon wali jaga par narmi ke sath malish karein. Chaiyon ke khatmay ke liye is nuskhe ka regular use karein.
No comments:
Post a Comment