Dama Aur Khansi Se Nijat Ka Totka

Dama Aur Khansi Se Nijat Ka Totka

dama aur khansi se nijat ka totka
asthma ka ilaj in urdu
dama ka ilaj in urdu

Asthma 1 daima beemari ha jo dunya bhar mein pai jati ha. Agarcha dama 1 mustaqil bimari ha jo tamam umar chalti rehti ha, taham natural nuskho ki madad se is ka ilaj mumkin ha. Dama ki kefiyat mein darasal lungs aur tanaffusi aeza ke khilaf mamooli reaction ka natija hoti ha. Jis mein saans ki naliyan sukar jati hein aur seene par dabao aur sakhti mehsoos hoti ha. Dama ko jar se khatam karne k lie intahai mufeed nuskha darj zel ha.

Ingredients:
Piyaz Ka Rus:   1 teaspoon
Bari Ilaichi:   1 Adad

Tarkeeb Aur Tarika Istemal:
Piyaz se nikalne walay rus ko garam taway par dalein aur ilaichi ko cheel kar is rus mein shamil kar lein. Thori dair ise bhoonein, jab piyaz ka rus khatam ho jaye aur ilaichi ke danay bhoon kar tayyar ho jaye to use taway se utar lein. In dano ko subah nihar pait kha lein. Is khoorak se sirf 3 din mein hi aap ko saans ki rukawat ki beemari mein wazeh faraq mehsoos hoga.
Is nuskhe ko 1 hafte tak use karne se saans ki bimari ka jar se khatma ho jayega. Dama ki beemari 2 tarah ki hoti ha 1 wo jo moroosi ho jo bachpan se shru ho kar balooghat tak khud bakhud khatam ho jati ha. Is ki doosri qisam allergy ki waja ha.
Jo balooghat se shru hoti ha lekin ilaj na karwane par ye tawalat pakar leti ha.

No comments:

Post a Comment