Sooraj Or Chand Girhan Ka Hamla Aurat Ki Sehat Par Asar

Sooraj Or Chand Girhan Ka Hamla Aurat Ki Sehat Par Asar

sooraj aur chand grahan ka hamla aurat ki sehat par asar
solar aur lunar eclipse ka pregnant aurat ki health par asar


Sooraj grahan insano ke liye hamesha se 1 pur israr moamma raha ha jis ke baray mein tarah tarah ki batein hein jin mein se 1 ye bhi ha ke sooraj girhan hamla ladies ke liye bohat manhoos sabit ho sakta ha. Bari age ki ladies hamesha se takeed karti hein ke hamla khawateen grahan ke doran har giz bahar na niklein, ghar ke kaam kaj se bhi aehtaraz karein aur qenchi o churi jese tez dhar alat ko hargiz use na karein. Aese mein ye janna dilchasp hoga ke scientist is baray mein kiya kehte hein.
Times of India ke mutabiq Rajan Dhall Hospital ke Gynecologist Department ke expert Doctor Nema Sharma ne is mozoo par baat karte hue kaha ke ye baat durust ha ke sooraj girhan ke doran bahar nikalne se gurez karna chahiye kiyounke is halat mein soorat ko dekhna eyes ke liye harmful ho sakta ha. Ye sirf pregnent women ke liye hi nahi balke baqi afrad ke liye bhi zaroori ha. In ka kehna tha ke sooraj girhan ke doran sooraj ko dekhna eyes ke Retina ko bepana nuqsan pohancha sakta ha.
Doctor Nema Sharma ne deegar baton ko bari had tak be bunyad qarar diya.
In ka kehna tha ke sooraj girhan ke doran khanay peenay se gurez karne ki baat to is mein koi sadaqat nahi ha. Is tarah tez dhar alaat ko use karne ke khatrat aur sooraj grahan ke darmiyan koi taluq nahi ha. Ye to aam samajh boojh ki baat ha ke aap tez dhar aalat ko ahtiyat se use karein kiyounke kisi bhi bad ahtiyati nuqsan ka sbab ban sakti ha chahiye solar eclipse ho ya na ho.

No comments:

Post a Comment