Abe Zam Zam Ke Fayde
abe zam zam ke fawaid
Aam tor par aap ne dkeha hoga ke bohat se log Rohani Ilaj k liye pani par dam kar ke peete hein jis se us pani mein barkat o shifa paida ho jati ha. 1 pani aesa ha jis par kisi dam ki zaroorat nahi balke is mein azal se shifa mojood ha. Ye Abe Zam Zam ha.
Hazrat Abu Zar Ghaffari Razi Allah Tala Anhu Abe Zamzam ki barkaat ke baray mein farmate hein "1 month tak mera khana siwaye Zam Zam ke kuch nahi tha. Mein mota ho gaya aur meray pait mein motapay ki waja se silwatein par gaye aur mein ne apnay kalejay mein bhook ki natawani nahi pai" Hazrat Zar Ghaffari Razi Allah Tala Anhu ka ye waqia Bukhari Shareef mein bhi mojood ha ke wo 40 din khaye piye baghair Kaba Shareef se lage sirf Zamzam ke pani par guzara karte rahay jis par Nabi Akram Peace Be Upon Him ne farmaya ke ye khana bhi ha aur peena bhi aur sab se barh kar ye tabiyat ka bahal karta ha.
Nabi Pak Peace Be Upon Him Zam Zam ke pani ko bartano aur mishkeezo mein bhar kar le jate aur beemaro par chirakte aur in ko pilate. Lehaza maloom huwa ke ye pani bukhar ki hararat ko thanda karta ha. Mareezo par chirakna aur un ko pilana Sahi Ahadees se sabit ha. Imam Ibne Ali Fasi ne Abe Zam Zam 73 naam zikar kiye ein jin mein beemari se shifa bhi shamil ha.
Mujhe 1 salak ne bataya tha ke use Haram Shareef ke 1 khadim ne bataya tha ke us ne cancer ke 1 mareez ko dekha jo jaan blb tha. Log use utha kar Namaz ke waqt Masjid mein late thay. Wo rozana Zam Zam ka pani peeta aur usi pani ko apni rasoolio par daal kar din bhar k lie mazeed pani hamrah le jata. Mein apna experience bhi bayan karta hoo.
Jab bhi Umrah par jata hoo, Kaba Shareef mein qayam ke doran khoob Abe Zamzam peeta hoo aur meri sugar aur blood pressure ka naam o nishan nahi rehta. Watan wapsi par bhi kai months tak medicine nahi khani parti lekin bad perhezi ki waja se phir sar nikalna shru kar deta ha. Mujhay yaqeen ha Abe Zamzam se faiz pane ke baad perhez kiya jate to har tarah ka marz jata rehta ha. Kamil Iman walay ko shifa naseeb hoti ha.

No comments:
Post a Comment