Nazireen aaj aap ko dua ki qabooliyat ke 2 khas waqt batayengay. Allah apnay bando ki dua zaroor sunta ha aur qabool bhi farmata ha. Lekin kuch khas waqt Hadees mein bataye gaye hein un mein se 2 waqt aap ko batate hein.
Pehla farmaya a logon Azan ke baad Duaen mango karo Azan ke baad maangi gai duaen Allah Ta'la zaroor qabool farmata ha.
Hamaray Piyaray Nabi PBUH ne farmaya A logon jab moazzin Azan day to us ke Azan ka jawab do Azan ka jawab denay par 1 Momin lakhon nekiyan apnay Namae Aemaal mein mehfooz kar leta ha aur farmaya logon jo shakhs Azan ka jawab aur Azan ke baad wali Dua parhe, is Dua ke baray mein hamaray piyaray Nabi PBUH ne farmaya jo Azan ke baad ye Dua parhe ga wo kal Qayamat ke din meri Shafat ka haqdar hoga aur aagay farmaya logo Azan ka jawab do Azan ke baad wali Dua parho aur us ke baad Allah ki bargah mein apni Duaen apni muradien aur apni hajatein mango kiyounke us waqt mangi gayi Duaen Allah Pak qabool farmayega.
Nazireen 5 waqt din mein Azan hoti ha to hamaray paas 5 aesay waqt Hadees ki roshni mein mojood hein in waqto mein mangi gai Duaen Allah Pak zaroor qabool farmata ha.
Aur Doosra Dua ki qabooliyat ka waqt jo Hadees mein bataya gaya ha hamaray piyaray Nabi PBUH ne farmaya logon jab barish ho rahi ho us waqt Allah ki bargah mein zaroor Dua manga karo us waqt mangi gai Duaen Allah Ta'la zaroor qabool farmata ha. Nazireen barish Allah ki Rahmat hoti ha us waqt Allah ki Rahmat wesay hi baras rahi hoti ha to us waqt apni hajatein apni muradein Allah ki bargah mein pesh karein. Aap dekhengay Insha Allah us khas waqt mein mangi gai Duaen Allah Pak zaroor qabool farmayega. Allah se Dua ha Allah hamari Duaen apni Rahmat ke sadqay qabool farmaye. Ameen
No comments:
Post a Comment