Surah Al Maidah Ka Wazifa
Tangi o faqa se dochar hone walo aur business mein loss hone lag jaye to amkan paida ho jaye ke karobar ka sanbhalna mushkil ha to aesay Muslim ko Surah Maida ka wazifa karna chahiye.
Mufassireen ke mutabiq Surah Al Maidah ke meaning asman se utarne aur dastar khuwan ke hein. Is Surah mein Hazrat Isa Alaihis Salam ne dua ki aur phir dastar khuwan nazil huwa is liye is Surah ka naam Al Maidah rakha gaya.
Agar koi shakhs ba wuzu 41 times Surah Maida ko parhe to us ke ghar walay faqa se mehfooz rahengay aur is ka parhne wala dunya ke login ki nigah mein azeez hoga. Agar koi shakhs Surah Maidah likh kar sandooq mein rakh dega to uska saman mehfooz rahega. Agar Surah Maidah ko likh kar pani mein ghol kar ye pani aesay mareez ko pilaya jaye jo sakht piyas mehsoos karta ho to wo serab hoga aur use piyas lagni khatam ho jaye gi.
Agar koi shakhs raat ko Namaz e Tahajjud ke baad Surah Al Maidah 10 dafa parh kar phir ise arq e gulab o zafran se likh kar apnay paas rakhega to uska koi mukhalif usko nuqsan nahi dega. Agar kisi ki zaban larkharati ho to wo Surah Al Maidah ko arq e gulab o zafran se likh kar use pani mein ghol kar piye 1 hafte ke andar us ki larkharahat khatam ho jaye gi.
No comments:
Post a Comment