Milk Benefits For Skin In Urdu
Mail Online ke mutabiq skin specialist ka kehna ha ke agar nahate hue pani ke tub mein doodh shamil kar liya jaye ya nahane se pehle kuch dair ke liye doodh ko pooray body par laga liye jaye to is ke skin par herankun asraat murattab hote hein. Doodh mein sehat bakhsh fats, proteins, vitamins aur minerals wafar miqdar mein mojood hote hein jo hamari jild ke dead cells ko hatane mein bohat helpful sabit hote hein aur chehre ki chaiyan se mehfooz rakhte hein aur chehre ki rangat nikharne ke liye bhi bohat mufeed ha.
American Skin Specialist Doctor Douglas Alshaik ka kehna tha ke doodh mein mojood vitamin E in molecules ka khatma karta ha jo jild ko dry karte hein aur is ke phatne ka sabab bante hein. Ye molecules collagen ko bhi tabah kar dete hein jo skin ko baham munsalik rakhne wali bafaton se jura hota ha. Vitamin D keel muhase aur chaiyan ko khatam karta ha aur skin flexibility ko barhata ha. Is ke ilawa ye body par siyah dhabbo ko bhi kam karta ha.
Ye dono Vitamins skin disease ka behtareen ilaj bhi hein aur sooraj ki balaye banafshi rays se kharab hone wali jild ko doobara sehatmand banate hein. Doodh mein paya jane wala lactic acid bhi skin care ke fawaid se mala maal ha. Is se skin hamwar aur naram hoti ha. In ke ilawa doodh mein paya jane wala zinc aur deegar ingredients bhi health ke liye beshumar fawaid ke hamil hein.
No comments:
Post a Comment