Haldi Ke Fayde In Urdu
Haldi naturally jaraseem kush khusoosiyat ki hamil hai aur kharasho zakhmo aur jalne waghera ke liye mufeed hai. Ye 1 fori marham ka kaam karti hai khoon ke lothro ki rok tham aur zakham par lagane ki soorat mein naye cells ki afzaish mein madad deti hai.
Haldi dard bhi door karti hai jis ka matlab hai ke ye dard mein kami lane ke liye bhi behtareen hai. Taqatwar antibiotic hone ke sath sath ye infections jese E. Coli ki bhi rok tham karti hai. Ye bacteria aam tor par sehat mand insano aur janwaro ke andar hota hai taham alooda pani ya gaye ke kache pake gosht ke zariye jism mein dakhil hone par shadeed infection stomach paini, vomiting, khooni haize aur akran ka bai's ban sakta hai.
Haldi jigar ki safai ka kaam karti hai. Turmeric ka 1 aur herat angez faida is ki jalan kush khoobiyan hein.
Modern Pakistan khoorak process foods se bharpoor hai jin mein had se zyada namak aur saray hue til ka istemal hota hai jo jism ke andar jalan aur deegar nuqsanat ka bai's bante hein jin se waqt guzarne ke sath allergy, asthma aur joron ke amraz ka khatra barh jata hai. In ghizao ka taliq yad dasht khone, cancer, heart disease, obesity aur depression se bhi jora jata hai.
Haldi ka rozana istemal jism mein soojan ko qabu mein rakhne mein madad deta hai jabke is ki zard rangat mein mojood anti oxidants nuqsanat ka azala aur alamaat ka khatma karte hein.
Research ke mutabiq haldi ka comparison mukhtalif medicines jese Motrin, Brufen aur Aspirin se kya ja sakta hai aur zahir se baat hai is mein qudrati khusoosiyat ziyada hoti hein aur medicines ki tarah zeher nahi hota.
Haldi 1 sada cheez hai jo blood sugar ki satah ko level rakhne, din mein bhar mein energy ki satah ko barqarar rakhne aur behtar mizaj ke liye madad deti hai.
Hamari jadeed ghizayen, chahe kitni hi tasty kyoun na ho, nuqsan deh fats aur cholesterol se bharpoor hoti hein jo ke hamare liye theek nahi.
Cholesterol ke marz ki soorat mein aksar anti cholesterol medicines tajweez ki jati hein.
Haldi zeher se pak herbal hal hai jo ke cholesterol level ko tezi se kam karne, zyada moassar aur taweel ul meeyad bunyado par veins ki akaran ya block hone samet heart disease ki rok thaam karta hai.
Haldi Se Zaiqa Barhayen:
Chand taza vegetables ko olive oil aur haldi ke sath mila lein. Inhein 400 degree par roast karein jis ke baad inehin aapas mein mila lein aur bus.
Aap ise sham mein munh chalane ya side dish ke tor par rakh sakte hein aur agar dil chahe to raat ka khana bana lein. Aap chahein to in vegetables ko fry kar ke bhi use kar sakte hein.
Golden Milk:
Ye 1 qadeem ayurvedic tarkeeb hai jise different tareeko se istemal kya ja sakta hai. Bus aap ko apni pasand ke garam doodh desi ghee ya oil ki zaroorat hoti hai.
Paste ko banane ke lye half cup filter pani ko chothai cup pisi hui haldi mein mix karein, is mixture ko is wat tak hilayen jab tak wo garha na ho jaye.
Sunehra doodh banane ke liye half teaspoon haldi paste sauce pan ke andar 1 cup doodh mein mein milayen aur phir ise 5 minute tak ke liye dhanp dein.
Ise peene se qabal half teaspoon ghee ya oil mila lein.
Aap is mein deegar spices jese adrak, kali mirch, daar cheeni ya shehad waghera ko bhi shamil kar sakte hein.
Haldi ke paste ko fridge mein 2 hafto tak ke liye store kya ja sakta hai.
Aam tor par ise peene ka behtareen waqt sone se qabal hota hai takay achi neend aur deegar tibbi fawaid hasil kiye ja sakein.
Haldi Ki Chaye:
1 cup pani ko boil karein aur phir is mein half teaspoon haldi milayen. Ab ise 10 minute tak pakne dein aur peene se qabal chhaan lein. Is mein apni pasand ki mithas bhi aap shamil kar sakte hein.
Apni Jild Par Lagayen:
Haldi ko jab jild par lagaya jata hai to ye soojan aur kharish mein kami lati hai.
Bus kuch miqdar mein haldi ko kisi bhi thandi khasiyat wale tail (Coconut oil, Almond oil, Castor aur Tilo ke tail mein milayen) aur phir jild par lagayen.
15 minute baad ise wash kar lein, ye aarzi tor par aap ki jild par dhabba daal degi to is baat ko yaqeeni banayen ke aesi jaga lagayen jo asani se dhaki ja sakein ya kuch dair ke liye zard hone par fikarmand na ho.
Magar is se pehle ke aap haldi ko istemal krna shru karein, is baat ko yaqeeni banayen ke wo haldi powder mat lein jo super market ke shelf par saja huwa rakha huwa ho.
Haqeeqat to ye hai ke mutaaddid masalho ko riwayati tareeko se ugaya jata hai yaani keere maar medicines ke sath aur wo namyati nahi hoti.
Agar aap haldi ko istemal karna chahte hein to aap aala mayaar ki pisi hui ya fresh haldi istemal karein tke behtareen tibbi fawaid hasil kye ja sakein.
No comments:
Post a Comment