Jild Se Har Kisam Ke Nishan Khatam Karne Ki 8 Tips
Jism mein fiber tissue naturally skin se zakham ka nishan khatam karne mein madad dete hein. Gehre zakham ka nishan jate jate kafi waqt lagta ha aur is ke liye sabar aur tahammul se kaam lena parta ha. Lekin kuch tarikay aesay hein jis se wound bharne ke amal mein tezi laai ja sakti ha. Is tarah zakham ka nishan behtar aur halka ho jayega.
Aloe Vera Gel:
aloe vera ka gooda sadiyon se skin se mutaliq masail ke liye jana jata ha. Is ki antiseptic khusoosiyaat zakhmi jild par takleef aur jalan ko khatam karta ha. Din mein 2 dafa injury par aloe vera gel ka 30 minute tak massage karein aur phir saday water se wash kar lein.
Silicon:
Zakham par silicon se bani patti ya Silicon jel ke use se skin naram aur hamwar ho jati ha. Kharab nild mein moisture barqarar rehti ha aur zakham par germs bhi attack nahi karte. Zakham bhar jane ke 2 weeks baad silicon bandage ka use shru kiya ja sakta ha. Silicon gel din mein 2 times use kiya ja sakta ha.
Different Types Of Oil:
Skin ke liye zaroori oil mein antiseptic aur zakham bharne ki khusoosiyat hoti hein. Sandal ki lakri, lavender, coconut aur olive oil jild ke nishanat mundamil karne mein madad dete hein. Mustaqil use se mutasira jild doobara banne lagti ha aur nishanat mein wazeh faraq mehsoos hota ha.
Vaseline:
Vaseline zakhamo ke nishanat ke liye mukhtalif creams ke muqablay mein moassar aur qabil aetimad hal ha. 1 se 3 weeks tak din mein 3 times vaseline lagane se jild khushki se bachi rahegi. Zakham ki jild hamwar aur chikni ho jayegi.
Massage:
Wounds ke nishan ke lie 1 aur acha aur kam qeemat hal massage ha. Lotion se mustaqil massage zakham ko tezi se bharne aur hamwar karne ke liye moassar ha. Din mein 2 se 3 times massage zakham mein collagen ke sakht tissues ko khatam kar ke internal tissue jorne mein madad deta ha.
Sunscreen ya Sunblock:
Zakhmi jild aur nishanat ko hamesha dhoop ki muzir rays se bacha kar rakhein. Ye rays zakham bharne ke amal ko ahista kar deti hein aur jild mein pigment paida karne mein madad deti hein. Pigment paida hone se zakham ka rang mazeed gehra ho jata ha. Is liye hamesha kisi achay sunblock ka istemal karein.
Apple Vinegar aur Honey:
Apple vinegar aur honey ka solution apni jaraseem kuch khusoosiyat ki bina par zakhamo ke liye moassar samjha jata ha. Dano aur muhaso ke purane nishanat mein wazeh faraq dekhna ho to shehad ko saib ke sirke mein mila kar lagaya jaye.
Vitamin C:
Vitamic C skin mein lachak aur moisture paida karta ha. Doctors spots ke hal ke liye Vitamic C ke beverages ya creams dono tajweez karte hein.
No comments:
Post a Comment