Pitte Ki Pathri Ka Gharelu Ilaj
Pitte ki pathri intahai takleef deh beemari ha jis ka ilaj complicated bhi hai aur expensive bhi. 1 baar ye bimari lahaq ho jaye to is jaan churwana bohat mushkil ha lekin khush qismati se ye baat ba asani mumkin hai ke hum is beemari ko apnay body mein dakhil hi na hone dein. Aur is ke liye dheron rupay kharach karne ki bhi zaroorat nahi kiyounke hum ye maqsad kuch aam available foods se ba asani hasil kar sakte hein.
Aam tor par pitte ki pathri cholesterol ke crystal banne se wajood mein aati ha jis ke asraat patient ke liye intahai negative aur painful hote hein. Murghan ghizaon ka bohat ziyada use, weight ka ziyada hona, liver ki kharabi ya diabetes ka marz pitte ki pathri ke imkaan ko barha deta ha.
Website justnaturalyhealhty ke mutabiq expert ka kehna hai ke is zaman mein 4 foods bohat ahmiyat rakhti hein kiyounke ye pitte mein pathri banne nahi deti aur agar pathri ban chuki ho to ise tehleel karne mein bhi helpful sabit hoti hein. In ghizaon mein ziyada fiber wali foods khusoosi ahmiyat ki hamil hein, jesa ke matar aur phalya waghera. In mein fiber ki quantity bohat ziyada hoti ha jabke chanay aur gran bhi mufeed sabit hota ha.
Fish 1 aesi ghiza ha jo aap ko pitte ki pathri se mehfooz rakh sakti ha. Is mein Omega 3 Fatty Acid bakasrat paya jata ha jo liver aur pitte ki sehat ke liye bohat mufeed hota ha. Is se body ko mono saturated fats hasil hoti ha jo health ke liye mufeed hoti ha. Is fats ki waja se cholesterol level mein kami aati ha jis se pitte mein pathri banne ka imkan kam ho jata ha.
Vitamin C se bharpoor fruits aur vegetables 1 aur aesi ghizaen hein jo gallbladder stone ke khilaf resist karti hein. Body mein Vitamin C ki kami ke bai's pittle ki pathri banne ka imkan bohat ziyada barh jata ha. Vitamin C ke husool ke liye Orange, Guava, yellow shimla mirch aur green leaves wali vegetables bohat mufeed hein.
Almond ke aur bohat se fawaid se aap waqif hongay lekin is ka 1 bohat hi ahem faida pitte ki pathri se bachao bhi ha. Badam mein calcium aur magnesium pai jati ha jo ke liver mein cholesterol level maintain rakhte hein.

No comments:
Post a Comment