Advantages And Disadvantages Of White Rice
Rice aesi cheez ha jin ke baghair beshtar afrad khana hi nahi khate dar haqeeqat ye dunya bhar mein dastiyab ghiza ha. Asia jahan is ki 90% quantity khai jati ha, wahan ise aesi ajnas mana jata ha jo lag bhag har ghiza ka hissa hoti ha.
Magar kiya aap ko maloom ha ke is mein bohat ziyada calories hota ha jo aap ke liye behtar nahi. Ye baat 1 tibbi tehqeeq mein samne aai ha.
Sci Lanka ke College of Chemical Sciences ki research ke mutabiq white rice ka bohat ziyada use diabetes ka khatra barha deta ha jis ki waja ye ha ke is ki 1 plate mein 200 calories hoti ha jo ke nashasta se bani hoti hein jo jism mein jakar cheeni ya shakkar mein tabdeel ho jati ha aur jismani charbi mein izafa karti ha. Taham research mein bataya gaya ha ke 1 khas tarike se chawal paka kar is mein mojood calories ko 50% tak kam kiya ja sakta ha aur ise sehat ke liye ziyada mufeed banaya ja sakta ha.
Research ke mutabiq chawal pakane ke liye jab pani ubala jata ha to is mein kachay chawal dalne se qabal coconut oil shamil kar dein.
Coconut oil ki quantity chawal ke weight ke 3% ke barabar ho, jab chawal pak jayen to ise thanda hone dein aur phir kha lein.
Jesa ke aap bataya ja chuka ha ke is calories shamil hota ha aur ye khayal rahe ke nashasta ke kai aqsam hein, taham diabetes ka khatra barhane wali qisam ko hazam hone mein ziyada waqt nahi lagta aur wo bohat jald glucose ki shakal ikhtiyar kar leta ha jis baad wo glycogen ban jata ha.
Agar aap jismani tor par sargaram na ho to is juz ki bohat ziyada quantity tond nikalne ka bai's banti ha.
Taham research mein bataya gaya ha ke khane pakane ke tarike mein tabdeeli lakar nashasta ki aqsaam ko badla ja sakta ha, is research ko American Chemical Society ki 1 conference ke doran pesh kiya gaya.
No comments:
Post a Comment