Best Diet Plan For Weight Loss In Urdu
Motapa se nijat jaan jokho ka kaam ha, basa auqaat expensive treatment aur exercise bhi be sood ho jati hein kiyounke jesay hi admi kamar dheeli kre, motapa wapas aa jata ha. Taham Denmark ki 1 khatoon ne 1 aesa diet plan banaya ha jis ke zariye intahai asani se motapay se nijat hasil ki ja sakti ha.
Mail online ke mutabiq 1 biotech company ki chief executive officer 39 years old Suzy Wengel khud motape ka shikar thi. Is ka weight 100 kg se zaid ho gaya tha aur is mein kami ki har koshish nakaam ho chuki thi. Phir is ne ye diet plan banaya aur kuch hi arse mein apnay weight mein 38 kg kami lane mein kamyab ho gai.
Suzi ne is diet plan ko "The second sense diet" ka naam diya jis mein har tarah ki khoorak shamil ha lekin is pemaish apni mutthi se karni ha, kiyounke Suzi ka kehna ha ke hamari mutthi ka size hamare body ke tanasub se hota ha chunachay har shakhs ki mutthi mein jitni khoorak aayegi wo is ke body ke liye behtareen hogi.
Suzi ke plan ke mutabiq aap 1 waqt mein kul 4 mutthi khana khayengay. Carbohydrates ke husool ke liye 1 mutthi vegetables aur salad din mein 3 times use karein. Protein ke liye din mein kam az kam 2 mutthi bhar meat, chicken, fish aur egg waghera use karein. Agar aap ziyada exercise kar rahe hein to aap ye din mein 3 baar use karengay. Is ke ilawa 1 mutthi bread, dalya, pasta, rice, potato ya fruits waghera use karengay lekin agar aap ye cheezein use nahi karna chahte to is ki bajaye aap vegetables aur salad mutthi bhar use kar sakte hein.
Suzi ne is diet plan mein teeno waqt ke khane mein 1 se 3 spoon cream ya kisi aur shakal mein fats use karne ki bhi hidayat ki ha. Mazeed din mein 1 baar 300 ml milk, curd ya koi aur dairy product use karein. Din mein 1 se 1.5 liter pani piyen.
Choonke is diet plan mein koi bhi cheez forbidden nahi ha lehaza aap teeno khano mein mehdood quantity mein cake, ice cream ya koi aur meethi cheez bhi kha sakte hein. Suzu ka kehna ha ke "Teeno khano mein mukhtalif qisam ki vegetables, salad aur deegar ingredients use kar sakte hein. Is diet plan par amal karne se aap ka weight 400 se 800 gram per week kam hona shru ho jayega.
No comments:
Post a Comment