Best Eating Time Schedule For Losing Weight

Best Eating Time Schedule For Losing Weight


Khane peene mein be ahtiyati motape ka bai's banti ha aur shayad aap ko ye bhi maloom ho ke jildi beemario se lekar joint pain aur  heart disease tak ka khane peene mein be aetidali ke sath qareebi taluq ha. Be ahtiyati aur be aetidali se murad kiya ha aur is ki waja se paida hone wali beemario se kese bacha ja sakta ha, is ke baray mein 1 mashoor American Doctor ne 8 se 8 ka golden usool bayan kiya ha aur Doctor Sahab ka kehna ha ke ye usool bohat moassar aur sucessful ha.
Doctor Rongan jo ke health ke mozoo pr several books ke writer bhi hein, ka kehna ha ke 8 se 8 ke usool ka matla ye ha ke aap sirf subah 8 se raat 8 baje ke darmiyan kuch mat khayen.
Inhon ne bataya ke motapke ka taluq sirf is baat se nahi ha ke aap kiya khate hein balke is baat se bhi ha ke aap kis waqt khate hein. Aksar log raat gaye tak khana peena jari rakhte hein aur khusoosan sone se kuch dair qabal khate hein jis ka inhein bohat nuqsan hota ha.
Doctor Ronga kehte hein ke aap ko din ka last khana sone se kam az kam 2 ya 3 hours qabal kha lena chahiye aur is ke baad nizam e inehzam ko kam az kam 12 hours ka waqfa dena chahiye. Is taweel waqfe se intestines mein mufeed bacteria paida hote hein jo khoorak ke behtar hazme ka sabab bante hein jabke lambay waqfay ke doran nizam e inehzam khudkar tarike se apni safai bhi karta ha aur fasid mado se bhi nijat pata ha.
Agar aap apnay khane ko subah 8 se raat 8 baje ke darmiyan mehdood kr dein to ba asani aap ke nizam e inehzam ko 12 hours ka waqfa mil jata ha jis ke doran ye apni safai aur muramat bakhoobi kar leta ha.
Is ka asar sirf aap ki amoomi sehat ki behtari pr hi nahi hota balke quwat e mudafiyat mein izafa hota ha aur aap dekhengay ke kuch hi arsay mein weight mein bhi kami hone lage gi. Khane ke is nizam ul auqaat ke sath aap ko sada khurak aur exercise ko bhi yaqeeni banana chahiye takay is usool ke bharpoor fawaid hasil kar sakein.

No comments:

Post a Comment