Danto Ko Saaf Karne Ka Tarika
Safed danto ki chamak se apni muskuraht ko jagmagana kis ki khuwahish nahi hoti aur latadad afrad is maqsad ke liye hazaron rupay Dentist ko dekar in ki safai bhi karwate hein magar kiya aap is fori kaam karne walay is gharelu nuskhe ko azmana pasand karengay?
Dar haqeeqat motio jese chamakte teeth to aaj ke dor mein khoobsurti ke mamoolat mein shamil ho chuke hein jesay balon ko rangwana waghera. Magar achi baat ye ha ke apni smile ko jagmagane ke liye aap ko bohat ziyada kharcha karne balke kisi qisam ke kharche ki zaroorat nahi.
Ji haan agar apple khane ki adat danto ko tea ya coffee ke spots se bachati ha balke aap ki danto ko chamkane ka sasta tareen aur natural tarika sabit hoti ha. Dar haqeeqat apple khane ki adat na sirf Doctor ko door rakh sakti ha balke Dentist se bhi door rakh sakti ha.
Jab aap saib khate hein to is ka chilka kisi rag maal ki tarah natural tooth brush ka kaam karta ha. Apple ka chilka fiber se bharpoor hota ha joke teeth par reg maal ki tarah kaam kar ke plague aur dagho ko saaf karta ha.
Apple mein Acid aur mithas hoti ha magar is ke fawaid nuqsan se ziyada hote hein bas is phal ko khane ke baad pani se kulliya karne ki ahtiyat kar lein.
Taham saib ke chilko se danto mein paida ki jane wali safedi ta dair barqarar nahi rehti taham is se koi nuqsan bhi nahi balke ye daagh dhabbo ki safai bhi karta ha.
No comments:
Post a Comment