Dark Circles Khatam Karne Ka Tarika

Dark Circles Khatam Karne Ka Tarika

dark circles khatam karne ka tarika
dark circles khatam karne ka tarika

Aesi ladies jin ki skin ki rangat gehri hoti ha in ke eyes ke neeche dark circles ho sakte hein kiyounke in ki jild mein baaz zaroori ingredients ki quantity bohat ziyada hoti ha jin ki jild saaf aur safed hoti in mein kamzori ke bais aanekhon ke neechay ki jild bohat kamzor ho jati ha is se skin ke neeche ganday khoon ki veins nazar aana shru ho jati hein choonke eyes khoon ke masail hein.
Jin ke bais aankhon ke neechay ki jild mein pani bharne se wo sooj jati hein aur jab pani ki kami hoti ha to siyah halke ban jati hein jild ki kamzori ke bait jo halke parte hein in ka cosmetics aur khoorak seilaj nahi kiya ja sakta.
Is maqsad ke liye laser use ki jati ha is ke liye bhi bohat ahtiyat ki zaroorat hoti ha kiyounke halke se ghalti ke bais halqe mazeed gehre ho jate hein laser treatment ki bajaye agr gharelu totke ka use kiya jate to ziyada behtar ha kiyounke gharelu totko ka koi side effect nahi hota aur ye tamam qisam ke chemicals se bilkul paak hote hein.
Is totke ka banane ke liye ye cheezein darkar hongi.

Ingredients:

Ubtan:  1 spoon
Haldi:  1 teaspoon
Sabz Ilaichi: 1 chutki pisi hui
Sonf: 1 chutki pisi hui
Vitamic C Ki Goli: 1 adad pisi hui
Desi Ghee: Hasbe Zaroorat (Paste banane ke liye)

Tarkeeb Aur Tarika Istemal:

Totke mein batai gai tamam cheezon ko desi ghee ki madad se mix kar ke paste bana lein. Ab is paste ko eyes ke ird gird jahan siyah halke ho udhar lagayen aur 20 se 25 minute laga rehne dein. Phir ise arqe gulab ki madad se halka halka ragar kar wash kar lein. 1 week continue daily iska use karein. 1 hafte mein eyes ke gird mojood siyah halke mukammal tor par khatam ho jayengay aur jild intahai khoobsurat ho jayegi.
Is nuskhe ko use karne ke ilawa apni health ka khas khayal rahein. Raat ko sote waqt computer ya mobile ka istemal mat karein aur raat gaye tak jagne se gurez karein kyounke is ki waja se eyes ke gird dark circles par jate hein aur ise eyesight bhi mutasir hoti hai.

No comments:

Post a Comment