Kiya aap danto ki peelahat se pareshan hein? Kiya aap apnay danto ke peelay pan ki waja se khul kar muskara nahi pate? Kia aap is masle ki bina par apnay dosto se door hote ja rahe hein? jesay ke hum jante hein aaj kal danto ki peelahat jesay masail aam hein.
Health expert ki opinion ke mutabiq hamaray teeth ki peelahat ke peechay bohat si wajoohat hoti hein. Taham danto ki peelahat ki important reasons mein zaroorat se ziyada beverages ka use, sharab noshi, tea, coffee, cigarette noshi aur moo ki safai ka khayal na rakhna shamil hein. Yaad rakhein dant aesi cheez hein jin ko log aap se mulaqat ke waqt sab se pehle note karte hein. Agarcha achi sehat aur confidence bhi zaroori cheezeing hein taham dant bhi aap ki personality mein 4 chand lagate hein. dunya mein shayad hi koi aesa shakhs ho ja safed dant aur khoobsurat smile pasand na karta ho.
Log aksar auqaat apnay teeth ki whitening ke liye clinical tarike use karte hein ko kafi expensive hote hein. Pas agar aap apnay ghar mein apnay danto ke peelay pan se chutkara pana chahte hein to mandarja zel tajaweez par amal kar ke dekhen.
Danto ki peelahat khatam karne ke liye pehli tajweez khane ka soda aur lemon juice piyen. Is amal ke liye thora sa khane ka soda aur is mein itna hi lemon juice milayen jis se paste ban jaye baad azan is paste ko tooth brush par laga kar aram se dant brush karein. Is paste ko danto par 1 minute tak laga rahne dein phir dho dalein. Lekin 1 baat ka khayal rakhein khane ke soday ka istemal bohat ziyada na kaein kiyounke ye teeth ke daagh saaf karne ke baad danto ki upari teh ko nuqsan pohancha sakta ha.
2nd important tajweez mein strawberry aur salt ka use ha. Strawberries mein Vitamin C wafir miqdar mein mojood hota ha jo danto ke liye behad mufeed hota ha. Taham danto ki safai ke liye 3 adad bari strawberries lein in mein chutki bhar namak mila kar achi tarah mix kar lein. Ab is paste ki khasi miqdar danto par laga kar brush karein aur 5 minute tak danto par laga rehne dein. Is paste mein chutki bhar khane ka soda bhi shamil kiya ja sakta ha.
3rd aur sab se ahem tajweez normal tail ka use ha. Jese ke hum jante hein nariyal ka tail insani sehat ke liye intahai mufeed ha. Pas is tarikay par amal karne ke liye itna coconut oil lein ke apka mun bhar jaye aur ise mouth wash ki tarah moo ke andar harkat dete rahein aur 10 se 15 minute tak ise moo ke andar rahne baad az phenk dein aur teeth brush kar lein. Is amal ko 1 din mein 1 martaba repeat karein. In teeno tajaweez mein se kisi 1 par regular amal karne se aap chand din mein wazeh faraq mehsoos karengay.

No comments:
Post a Comment