Mardana Taqat Ki Ghiza
Dry fruits ke kai fawaid se hum aagah ha taham ab scientist ne men ke liye in ka 1 aesa herankun faida bata diya ha ke sun kar har mard inhein apni khuraak ka baqaida hissa bana lega. Mail Online ke mutabiq scientist ne bataya ha ke "Badam, Hazelnut aur akhrot mardana taqat mein izfa ke liye intahai mufeed hote hein. Hamari tehqeeq mein sabit huwa ha ke rozana muthi bhar 60 gram badam, akhrot aur hazelnut khane se mardo ke jinsi taqat mein 20% ka izafa ho jata ha.
Spain ki University ke scientist ne is research mein 18 se 35 saal ke 119 healthy mardo par tajurba kiye. Inhon ne in mardo ki jinsi taqat ke taste kiye aur phir inhein 2 groups mein taqseem kar ke 1 ko 14 week tak rozana 60 gram badam, akhrot aur hazelnut khane ko kaha jabke doosre group ko apni mamool ki khuraak jari rakhne ki hidayat ki. 41 afte ke bad jab in ke doobara taste kiye gaye to maloom huwa ke jis group ke mard mazkoora dry fruits khate rahe thay in ki sperms ki tadad 16% ziyada ho chuki thi. Is ke ilawa in ke sperms ke mutaharrik hone mein 6% aru tadair zinda rehne ki ability mein 4 izafa huwa aur in heyit bhi 1% behtar hogai.
Tehqeeqati team ke sarbarah Doctor Albert ka kehna tha ke dry fruits mein Omega 3 Fatty Acids, Anti Oxidants aur Folate paye jate hein o mardo ke sperms ke miqdar aur healt ke liye intahai mufeed hote hein. Aesay mard jinhein aulad ke husool ke liye mushil ka samna karna ho inhein lazmi dry fruits use karna chaiye.
No comments:
Post a Comment