Open Your Narrowed Blood Vessel

Open Your Narrowed Blood Vessel

Open Your Narrowed Blood Vessel

Agar aap tang ya band veins ki waja se pareshan hein aur medicines se bhi bachna chahe hein to aaye aap ko aesay 5 khane batate hein jin ke use se aap ki band sharyanay khul jayengi.

Lehsan:

Blood pressure ko control rakhne ke liye lehsan ki afadiyat se inkar mumkin nahi. Is ki waja se insan ka khoon patla rehta ha aur is ki rawani behtar hoti ha. Is mein mojood allicin ki waja se khoon ki veins ko taqwiyat milne ke wath wo khulti hein. Aap ko chahiye ke daily lehsan khayen aap chahein to sabit ya pees kar lehsan kha sakte hein.

Solomon:

Fish mein sab se mufeed fish Solomon samjhi jati ha. Is mein mojood fatty compounds ki waja se khoon ki veins theek rehti hein, is ka omega fatty acid 3 ki waja se khoon ki sozish mein kami aati ha aur is mein lothray nahi bante aur veins theek rehti hein.

Pomegranate:

Taste mein intahai lazeez phal mein ye taqat mojood ha ke ye blood ki veins ko bhi kholta ha. 2005 mein ki gai reserach mein batya gaya ha ke in mein anti oxidants ki waja neutral oxide ki paidawar mein izafa hota ha aur insan ki veins saaf aur khuli hoti hein. Research mein ye baat bhi samne aai ke pomegranate ki waja se veins ki deewaron par mazeed kai nahi lagti aur wo sehatmand rehti hein.

Haldi:

Is mein mojood curcumin ki waja se ye bohat taqatwar masala samjhi jati ha. Is ki waja se jismani sozish kam hone ke sath veins bhi khulti hein. Khane ke ilawa aap chahein to ise doodh mein mila pee sakte hein aur is tarah iska ziyada faida hoga.

Olive Oil: 

Khane mein intahai mufeed is oil ko different tarah ki disease ke liye faidamand paya gaya ha. Is ke use se veins khulti hein, is ka use ka sab se behtareen tarika ise baghair pakaye khana ha. Jo log zaitoon ko ashya fry karne ke liye use karte hein inhein ye batana zaroori ha ke is tarah zaitoon ke tail ki afadiyat na hone ke barabar reh jati ha. Iski waja se acha cholesterol barhta ha aur bure cholesterol mein kami aati ha. Doran e hichki ruk jayegi.

No comments:

Post a Comment