Desi Totkay For Skin Tightening
Aksar ladies ko chehre ke ghair zaroori balon ki waja se pareshani ka samna karna parta ha. In ghair zaroori balon ko khatam karne ke liye bohat koshish karti hein lekin tamam koshish bekar ja rahi hein. Chehre par ghair zaroori balon ke masail aam tor par harmones ki paidawar mein adam tawazun, khoorak ka ghair mutazan hona, depression, tension, periods mein be qaidgi aur moroosi wajoohat bhi shamil hote hein aur chehre ki jild latak jati ha. Is nuskhe mein mojood phitkari skin tight karne ke liye kafi mujarrab ha. Kuch ladies ko pregnancy ke doran bhi chehre ki ghair zaroori balon ke barh jane ka masla pish aata ha.
Chehre ke ghair zaroori baal peshani, eyes ke ird gird, honto ke upari hisse, thori aur face ke atraf mein mojood hote hein aur in balon se chutkara pane ke liye threading, bleach aur waxing ka sahara leti hein, is ke ilawa ladies market mein available bohat si creams ka use karti hein jo baaz auqaat chehray ki jild ka bhi bai's banti hein. jo log afford kar sakte hein wo laser skin tightening karwalete hein lekin laser skin tightening afford karna har kisi ke bas ki baat nahi to un logon ke liye ye best face hair remove tips in urdu hai.
Ghair zaroori balon se chutkara aur skin ko tight karne ke liye ye totka aazmayen.
Ingredients:
Maida: 2 spoon
Rose Water: 1 spoon
Phitkari: Chutki bhar
Method:
Kisi piyali mein maida, arq e gulab aur phitkari daal kar achi tarah mix kar lein aur is paste ko apnay face par lagayen aur dry hone ke liye chor dein, jab ye paste khushk ho jaye to hands ki madad se chehre se jhar kar utar lein.
1 hafte ke musalsal use se baal kamzor hokar ahista ahista jhar jayengay aur skin tight hogi khulay masam open pores band ho jayengay aur chehrea nikhar jayega. Chehre ki jild bohat hassas hoti ha sardiyo mein dhoop mein nikalne se pehle apnay face par sun block use karein, jis mein SPF13 ke ingredients mojood ho, din mein kam az kam 3 dafa face ko wash karein, Face ki cleansing ko apnay daily routine mein lazmi shamil karein ye chehre ki jild ke masamo ko saaf karne ke sath sath inehin naram o mulaim bhi banata ha, fresh fruits aur vegetables ke use se jild mein tazgi aati ha.
No comments:
Post a Comment