Vomiting In Pregnancy Means In Urdu
Pregnant hone par aksar ladies ko matli hoti ha aur vomiting tak mamool ban jati ha jis par wo pareshan rehti hein lekin ab Scientist ne modern research mein is ka aesa faida bata diya ha ke jin khawateen ki tabiyat kharab nahi hogi wo pareshan hongi.
Mail online ki report ke mutabiq Scientist ka kehna ha ke pregnant hone par ladies ke body mein harmones ki quantity bohat ziyada paida hone lagti ha jis se inhein matli aur vomiting aana shru ho jati ha.
Ye is baat ki alamat hoti ha ke in ke pait mein mojood bachay ko Oxygen aur growth ke liye zaroori deegar ingredients wafir mayassar aa rahe hein aur reham madar se fazil mado ka behtar ikhraj ho raha ha.
London ki University of reading ke scientist ka kehna tha ke bunyadi tor par ladies ki is halat ka responsible endocrine hormones hota ha jo dimagh par is andaz mein asar andaz hota ha ke wo matli mehsoos karne lagta ha aur vomiting aani shru ho jati ha.
Taham ye is baat ki bhi alamat hoti ha ke reham madar ki taraf khoon ka bahao behtareen ho raha ha jis se bachay ko oxygen aur zaroori ghizai ingredients bakhoobi mil rahe hein. Tehqeeqati team ke sarbarah Professor Flip Lory ka kehna tha ke ladies ki matli aur vomiting waghera ki shikayat hamal ke 16 se 20 weeks mein khatam ho jati ha.
Hamein umeed ha ke hamari is research se pregnant khawateen ko nafsiyati tor par kuch aram milega.
No comments:
Post a Comment