Don’t Hold In A Sneeze, Warn Doctors
Jab aap ko cheenk aa rahi ho to jo marzi kijiye lekin apni naak ko daba kar ise rokne ki hargiz koshish na kijiye warna natija aesa khofnak ho sakta ha ke jis ka aap tasawur bhi nahi kar sakte. Doctors ne 1 aesay hi admi ke mutaliq inkashaf kiya ha jis ne cheenk ko rokne ke liye apni nose ko daba liya lekin natija ye huwa ke galay ke andar saans ki nali mein pichli janib soorakh karwa betha.
34 sala mareez ko jab laya gaya to wo dard se behal tha. Is ke liye kuch bhi khana peena mumkin nahi tha aur hatta ke bolna bhi na mumkin tha. Mareez ne bataya ke is ne cheenk ko rokne ke liye moo ko to band kiya hi tha sath apni nose ko bhi daba par band kar liya jis ke natijay mein ye waqia pesh aaya.
Mail online ke mutabiq is mareez ko 1 hafte ke ilaj ke baad hospital se farigh kiya ja chuka ha taham is ka naam zahir nahi kiya gaya. Scientist jareeday BMJ case reports mein publish hone wali report mein Doctors ka kehna ha ke ye shakhs phir bhi lucky ha ke is ke galay mein soorakh huwa warna cheenk ko rokne ke natijay mein androoni pressure nazuk aeza ko naqabil talafi nuqsan pohancha kar mot ka sabab bhi ban sakta tha.
University Hospital se taluq rakhne walay 1 Doctor ka kehna tha ke cheenk ko zabardasti rokne ki koshish mein aap ki saans lungs ke darmiyan seene mein phans sakti ha, kaan ka parda phat sakta ha aur hatta ke dimagh mein khoon ki ragein bhi phat sakti hein jis ka natija jaan lewa ho sakta ha.
No comments:
Post a Comment