Masooron Ki Sujan Aur Bleeding Ka Gharelu Ilaj

Masooron Ki Sujan Aur Bleeding Ka Gharelu Ilaj

Masooron Ki Sujan Aur Bleeding Ka Gharelu Ilaj
Masooron Ki Sujan Aur Bleeding Ka Gharelu Ilaj

Chehre ki khoobsurti ke sath sath dilkash aur haseen smile teeth ki marhoon mannat hoti ha. Is liye danto ki safai aur khoobsurti ka kha khayal rakhein dant insan ke chehre par prominent hesiyat rakhte hein. Kiyounke ye batein karte, muskurate waqt doosro ko dikhai dete hein aur agr ye gande ho to is se dekhne walo ko ghin aati ha nez danto ki safai na karne se stomach ke tamam masail se agah karte rahein takay mazeed pecheedgi paida na ho.
Aksar aesa hota ha ke teetch ki theek tarah safai na karne ki waja se teeth mein keera lag jata ha aur tab doctor ke paas jana aur ilaj karwana jaib pr bohat bhari par sakta ha. Isi lye aaj mein aap ko anday ke chilke ke zariye danto ki hifazat karne aur dant ke keere se nijat hasil karne ka intahai sasta aur mufeed nuskha bataoonga. Jis se aap ko Doctor ki bhari fees bhi nahi dena paregi aur aap ke daant bhi safed motio ki tarah chamak uthengay, nuskha ye ha.

Ingredients:

Ando ke chilke: 2 adad eggs ko boil kr chilke utarlein.
Coconut Oil: 2 teaspoon
Baking Soda: 1 khane ka spoon
Agar aap chahen to 1 spoon samundari namak aur pepper mint ke chand drops bhi shamil kar sakte hein.

Method And Use:

Eggs ko boil kar ke in ke chilke utarlein aur in chilko ko 1 cup pani mein daal kar 5 se 10 minutes ke liye achi tarah boil kar lein aur is ke baad dry kar lein. Ab inehin achi tarah pees lein aur ise kisi bartan mein daal kar coconut oil aur baking soda shamil karein aur achi trah shake karein. Ise achi tarah bareek aur yakjan kar lein aur is mehlool ko zaroorat ke mutabiq finger ki madad se danto par lagayen aur tamam danto par phelayen. 5 minute tak laga rehne dein phir pani se kulli kar lein takay paste danto se saaf ho jaye ise daily use karein.
Chand hi dino mein daant chamakdar aur keeray se pak ho jayengay. Ye natural toothpaste danto mein lage keeray ke liye bohat hi ziyada mufeed ha. 1 research ke mutabiq anday ka chilka, calcium ka bohat bara zariya ha aur hamaray daant bhi calcium se bane hue hein, agar in chilko ko danto ki hifazat ke liye theek tarah use kiya jaye to calcium ki kami ko poora kiya ja sakta ha.
Ando ke chilko ki toothpaste bohat ziyada useful aur cheap ha aur is toothpaste ki khaas baat ye ha ke ye baraz se milne wali toothpaste ke muqablay mein khatarnak chemicals se bhi paak ha.

1 comment: