Symptoms of Cushing Syndrome Disease
Mardon ke jism par baal bakasrat paye jate hein lehaza chest par balon ka paya jana bhi koi ghair mamooli baat nahi lekin ladies mein estrogen hormone ki waja se body ke beshtar hisso pr baal nahi hote.
Mahireen sehat batate hein ke mardo mein chest ke baal testosterone hormone ki waja se paida hote hein lekin agar ladies mein bhi jism ke is hisse par baal namoodar ho to ye hormone ki kharabi aur khatre ki alamat ha. Khawateen mein bhi in balon ke namoodar hone ke bunyadi waja bhi testosterone hormone ha jabke zanana hormone estrogen mein kami hone ki waja se bhi ghair mutawaqa jaga par baal nikal sakte hein.
Doctor ka kehna ha ke agar khawateen mein ye baal kafi ziyada ho to ye cushing syndrome naami disease ki alamat bhi ho sakti ha. Ye bimari cortisol hormone ki ziyadti ki waja se paida hoti ha. Cushing syndrome ka ilaj jald az jald shru krne ki zaroorat hoti ha warna beemari paichida ho jati ha aur is ka ilaj mushkil sabit hota ha.
Isi tarah polycystic ovary syndrome nami beemari bhi in balon ka bai's ho sakti ha. Ye beemari zanana toleedi nizam mein kharabi ki waja se paida hoti ha aur average 20% ladies is ka shikar banti hein. In khawateen mein breast ke ilawa face aur back par bhi baal namoodar ho sakte hein. Aesi soorat mein mahir Doctor se zaroor mashwara karna chahiye.
No comments:
Post a Comment