Constipation Symptoms and Causes
Constipation 1 aam paya jane wala masla ha jo kai aur masail ko bhi janam deta ha. Sirf yehi nahi balke ye beemari is baat ka ishara bhi ha ke aap ke body mein koi aur sangeen kharabi ha aur qabz to mehez is kharabi ka ishara dene wali 1 ahem warning ho sakti ha.
Website healthista ke 1 report mein mahireen ghizayat ne bataya ha ke bohat se logo ko khana khane ke baad pati phoola huwa mehsoos hota ha, jise kuch log gas ka naam bhi dete hein aur ise tib younani men aphara bhi kaha jata ha. Qabz ke sath ye kefiyat amooman mehsoos hoti hein. Doctor kehte hein ke taqreeban 70% logo ko kabhi na kabhi in masail ka samna karna par jata ha.
Ye kefiyat darasal is baat ka ishara hota ha ke aap khoorak ko behtar tor par hazam nahi kar parahe ya jis qisam ki khoorak aap kha rahe hein aap ka jism ise poori tarah qabool nahi kar raha, ya phir is khoorak se aap ko allergy ha. Is ke ilawa agar aap hormone ki garbar ka samna kar rahe hein, meethe ka bohat ziyada use kar rahe hein, zehni dabao depression ka shikar hein to bhi aap ko qabz ho sakti ha aur pait phoola huwa ya is mein gas bhari mehsoos ho sakti ha.
Agar aap khana zaroorat se ziyada khate hein to deegar koi masla na hone ke bawajood bhi yaqeenan aap ko apna pait sakht aur phula huwa mehsoos hoga. Beherhaal, qabz aksar rehte ha to ye muamla hargiz nazar andaz karne wala nahi. Baghair waqt zaya kiye aap ko Doctor se contact karna chahiye takay asal masle ka suragh lagakar use hal kiya ja sake, is ke natije mein qabz khud hi khatam ho jayegi.
No comments:
Post a Comment