Japanese Water Therapy Key To Losing Weight And Staying Healthy
Din ka aghaz garam pani se kiya jaye to sehat ke bohat saray fawaid hasil hote hein yaqeenan aap ne bhi ye baat sun rakhi hogi, magar ye baat kam log jante hein ke agar neem garam pani mein mamooli si miqdar haldi ki bhi shamil karli jaye to is ke fawaid kai gunah barh jate hein.
Website "Speading Tree" ke mutabiq haldi cholesterol ke level ko kam kari ha aur khoon ki nalio mein rukawat paida nahi hone deti. Youn is ka use falij aur heart disease se tahaffuz faraham karta ha. Haldi ka regular use se cance ke khadshe ko bhi kam kar deta ha kiyounke ye cancer ki rasoolio ke banne mein bohat muzahimat karti ha aur cancer ke cells ke phelao ko rokti ha.
Dimagh ki sehat ke liye bhi haldi behtareen fawaid ki hamil ha khas tor par Alzheimer jesi beemari se se bachne ke liye ye bohat madadgar sabit ho sakti ha. Haldi mein paya jane wala mada curcumin kai tarah ki dimaghi beemario se mehfooz rakhne mein ahem kirdar ada karta ha.
Jild ki sehat aur taro tazgi ke liye bhi haldi apna jawab nahi rakhti. Ye khoon ko saaf karne wali natural ingredients ha. Jab khoon ki safai hoti ha to is ke asraat jild par bhi nazar aate hein. Haldi ke regular use se khoon saaf hone ke baad jild taro taza aur chamakdar dikhai dene lagti ha.
Joron ke dard aur sozish ke liye bhi haldi bohat mufeed cheez ha. Is maqsad ke liye ye desi medicines mein bhi istemal hotiha. Weight kam karne ke khuwahish mand ke liye bhi haldi bohat faida mand ha. Subah ke waqt neem garam pani mein haldi mila kar peene se jism ki faltu charbi tezi se pighalne lagti ha. Darasal haldi ka juz curcumin charbi ke cells ko jama hone se rokta ha aur youn ye motape se tahaffuz faraham karta ha. Diabetes ke patient aur bad hazmi ke shikar afrad ke liye bhi haldi mufeed ha, jabke hamare mudafati nizam ko taqatwar bana kar ye hamein beshumar deegar beemario se bhi mehfooz rakhti ha.
No comments:
Post a Comment