Coconut Oil Se Pait Ki Charbi Pighlane Ka Tarika
Pait ke gird charbi jama hone ka masla bohat logo ko darpesh hota ha ja gym mein kari exercise karne se bhi basa auqat hal nahi hota. Ab scientist ne is se nijat ka 1 intahai asan hal bata diya ha. Daily Star ke mutabiq ziyada tar log pait ki charbi se bachne ke liye butter aur ghee ki bajye sooraj makhi aur soyabean oil khana pakane mein use karne lagte hein lekin scientist ne new research mein bataya ha ke pait ki charbi se nijat ke lye coconut oil sab se behtareen ha. Agar hum coconut oil mein khana pakana shru kar dein to is se pait ki charbi ghulna shru hojayegi aur baghair exercise is se nijat mil jayegi.
University Sens Malaysia ke Scientist is is research mein 20 razakaron par tarjurbat kiye. Inehin 2 groups mein taqseem kar ke 1 ko 12 hafte tak coconut oil mein paka khana khilaya jata raha jabke doosray group ke logo ko ghee aur oil wali khuraak jari rakhne ko kaha gaya. 12 hafte baad jab doobara in ki apit ki charbi ka inspection kiya gaya to jo log coconut oil mein paka khana khate rahe thay un ki waist 1.1 inch kam ho chuki thi.
Scientst ka kehna tha ke is group ke logo ki mamoolat zindagi mein sirf 1 hi tabdeeli ki gai thi aur wo ye ke inehin coconut oil mein paka khana diya jata raha. Jis ke herankun result samne aaye. Is ki waja ye ha ke coconut oil metabolism ko tez karta ha jis ke natije mein charbi pighalti ha.
No comments:
Post a Comment