How To Use Ginger for Weight Loss and for Body Pain
Agar aap motapay aur joron ke dard se parehsan hein to adrak ka pani wo mufeed nuskha ha jo aap ki har soorat aazmana chahiye, kiyounke in masail ke hal ke liye shayad hi is se behtar koi aur cheez ho.
Website Consider Health ke mutabiq adrak ka pani khoon mein lothray nahi banne deta aur youn khoon ke bahao ko level karta ha. Ye cholesterol mein kami karta ha aur joron ke dard, sozish aur soojan se nijat dilata ha. Ye nuskha 1 taqatwar Anti Oxidant bhi ha jo aap ke body ki safai karta ha aur kai tarah ki diseases hatta ke cancer jesi beemari ke khilaf bhi mudafiyat paida karta ha. Ise tayyar karne ke liye pehle 1.5 liter water ko boil kar lein aur jab ye boil hona shru ho jaye to is mein adrak ke small small pieces kaat kar dalein.
Ise kuch dair ke liye boil hone dein aur phir stove se utar kar ise taqreeban 15 minute ke lye para rehne dein. Jab ye thanda ho jaye to is mein lemon juice mila lein. Behtareen result ke liye din mein 2 baar ye mashroob piyen. Is ka use subah ke waqt breakfast se pehle aur raat ko khane se pehle karein.
Ye jahan motapay aur joron ke dard ka khatma karta ha wahee hamaray mudafati nizam ko strong banata ha, nazla o zukam se bachata ha, doran e khoon ko level karta ha. Isi tarah ye hazmay ko durust karta ha aur khoorak ke ingredients ko hamaray body mein absorb hone mein bhi madad deta ha.
No comments:
Post a Comment