Surprising Health Benefits Of Mint In Urdu
Podine ko aam tor par gharon mein chatni ke tor par use kiya jata ha lekin bazahir aam si nazar aane wali is vegetable ke herat angez faide hein.
Podina ki khushboo saliva glands ko active kar deti ha jo khane ko zod hazam banane ke sath sath stomach ko theek rakhta ha. Is ke use se na sirf matli aur headache ka khatma hota ha balke ye amal tanaffus se mutaliq tamam kharabion maslan seene ki jakar, halaq aur lungs infection ko door kar deti ha. Yehi nahi balke podine ka regular use asthma patient ke liye bhi karamad ha.
Podine ka juice insani jild ke liye behtareen cleanser ha jis se face shadab aur tamam skin diseases maslan kharish aur chehre ke keel muhase khatam ho jate hein.
Podina machar o deegar keeray makoron ka kate ka bhi behtareen ilaj ha is ke sath sath podina moo mein paida hone walay khatarnak bacteria ka khatma kar ke saans lene ke amal ko khushgawar banata ha.

No comments:
Post a Comment